Aaj man vichlit hai,
Ab jo aye hai unka jaana lazmi hai,
Samay guzar to raha hai magar,
Abhi kal ki baat hi to lagti hai,
Abhi to unke rubroo the hum,
Muskan se saja daur tha,
Apnepan ki chadar mein mehfooz the hum,
Socha na tha ye kursi, chaar diwari mayus bhi honge,
Vo jo chod gaye hum Yun khaffa bhi honge,
Abhi raat ki to baat hai, unka chehra, haan yad hai,
Achanak vakt ne toda dum, vo nhi bus reh gaye hum,
Kaise maane ye jo hua hai,
Safed aalm aur jalta vo shaks vo insaan hai,
Ye dil khamosh, kuch nhi bus sunsan hai,
Aaj man vichlit hai,
Ye lazmi daur bohot dardnaak hai,
Vishvaas hi nahi ho raha ye sab kya aur kyu hai,
Abhi kal to sath the magar ab sath hona bus khwab hai…

Leave a Reply